Friday, June 25, 2010

Raat aur sannata

Aasman me chaand kuch ungh sa raha tha
Tare kuch naaraj se idhar udhar chitke the
Raat kal kuch kam syaah thi
Hawa roj ki tarah gaa nahi rahi thi
Chat pe akele baithe
Maine kal dekha tha
Ek sannate ko aasmaan ko gherte hue
Dheere dheere raat ko apni baajuon mein jakadte hue
Sannate ki us aahat se chaand jag gaya tha
Tare ek doosre ko sehami nazron se dekhne lage the
Raat ke aanchal par silvate pad gayi thi
Chat par akele baithe
Maine kal dekha tha
Us darr ko jo raat ki aankhon mein sama gaya tha
Us ghabrahat ko jisne uske honth sil diye the
Us bechaini ko jisne hawa ka dam ghont diya tha
Hawa chaand taare aur aasman
Kuch na kar sake the
Aur sannata raat par daag chhod gaya tha

No comments:

Post a Comment